Thursday, June 1, 2023
More

    Indibaat | E03 # Kahaniya aur Aaj by Jeetendra Ajmera बात जितेन्द्र के साथ

    Jeetendra Ajmera is a multidisciplinary artist, storyteller, telling tales and everything around them. Let’s listen to his flawless skills while he shares his childhood experiences with Nitin Jain, leaving Nitin in a dilemma about what he actually told was another ‘khubsurat jhooth’. To a lot many stories, narratives, and anything and everything which has plots, characters and a timeline, give this interview a listen!

    Transcript:

    JEETENDRA AJMERA – Hi my name is Jeetendra Ajmera and I love telling stories, aur aaj main is conversation mein isliye hoon kyunki Nitin bhaiya ne mujhe bulaya hai, aur unhonein bulaya hai toh ek khaani sunani padegi. Toh kuch bhi sune se pehle ya kuch bhi baat karne se pehle jaise maine kaha I love telling stories, toh ek kahaani suna detein hain, toh aap sunne ke liye taiyaar hain? Agar nahi bhi hai toh aap apna phone side mein rakh do aur zara aankh band karke pyaar se sunlo, haina.

    Toh kahaani aisi hai ki is kahaani ka title nhn doonga but is khaani ka context zaroor doonga, main humesha ek line kehta hoon sabko aur wahi is kahaani ka aaga peecha hai, toh wo line aisi hai ki – aap khoobsurat jhoot boliye aur poori sacchaiye se wo jhooth boliye, aur jab tak aap us se kisi ko nuksaan nhn pahuncha rahein hain tab tak aap us jhooth ko bahot khoobsurati se boliye’ toh main Jaipur ka pala bada raha hoon aur maine schooling ki hai, St. Anslem mein, toh growing up aise smjhiye jo ek kaam bahot flawless karta tha, uske peeche alag alag reasons the but abhi samay nhn hai wo discuss karne ka, magar main bahot flawlessly jhooth bolta tha. Toh ek baar kya hua, main 16-17 saal ka raha honga, 16 bhi nhn shayad mere khayal se 14,15-16 jo bhi umart hogi, aur main 9th mein tha, adolescnece hit kiya hi tha. Toh main thoda sa… ajeeb si wibe ya hawa kehtein hain use, kya ki thodi na akad aajati hain logo ke andar, mere mein bhi aagayi thi. Toh ek baar kya hua hum football match khel rahe the, main ek team mein tha aur falana aadmi doosri team mein tha. Toh maine kya kiya, main defend kar raha tha aur wo kuch forward position pe tha, usne goal woal maara aur wo goal maine rok liya tha aur wo maan nhn rahe the ki goal lag gaya tha, jaise basic discrepency ho jaati hai. Toh akad bahot zyaada thi unmein bhi aur mujhmeon bhi. Toh baat baat mein thodi si baat bigad gayi. Aur jaise hum baat baat mein baat bannae aaye hain toh whaan pe baat baat mein baat halki si bigad gayi thi. Toh usne kaha ki goal hai aur maine bola kaha goal nhn hai, maana nhn jaega, thodi usne bhi collar wollar pakkad li aur maine bhi uski collar pakad li, toh thoda gadbad ho gaya maamla. toh hua kya ki us samay alag sa trend chalta tha, pata nhn abhi ye trend hai ya nhn but bacche ladaaiyan bahot karte the, ki bahar mil tu school ke tujhe dekhleinge. Toh maine bhi usko keh diya ki tu na bahar mil school se apan apni baat karenge.

    Toh aisa hota haina ki poore school mein hawa si fail jaati hai ki aaj aaj toh jeetu aur falana bande ki ladaai hai, acha naam nhn bataunga us bande ka, mera dost hai wo actually(giggling) . Toh Jeetu aur falana bande ki ladaai hai. Toh jo saamne waala banda tha, kuch bande nhn hote jinki 9th, 10th mein adloscence aur maturity bhu hit kar jaati hai, toh woh wo waala tha. Toh bhaiya kuch 5’6 ya 5’8 height ka aadmi, body bhi achi khaasi build up hui hui thi uski aur main kuch 5 foot ka aadmi, na kuch himmat na kuch, but jab keh diya toh keh diya, aise thodi na hota hai,  backout thodi na kar sakte hain, toh maine jaake aise poora aise, aaj toh school mien hawa phail gayi thi ki – jeetu aur uski ladaai hai, jeetu aur uski ladaai hai, ek dum aajana, toh abhi hum pahunche. Aur do dost the maine unko keh diya ki tum bhi saath chalna, aaj thoda dekhleinge. Toh hum pahunche, main pahuncha aur wo pahunche aur mere dost pahunche aur saamne bhai pahuncha. Aur saamne jab bhai pahuncha toh wo bhai 4-5 logo ke saath. Ek ke haath mein kuch hockey stick type ki cheezein thi, aur ab mujhe laga ki kya gadbad thi

    NITIN – Pitega aaj

    JEETENDRA AJMERA – Leggid us din laga mujhe ki main pita, mereko laga ki ab bach hi nhn sakte, koi chance hi nhn hai. Aur wo mere jo do bhai aaye the wo bhaag gaye !

    NITIN – Laughing, wo tere sache dost the!!!

    JEETENDRA AJMERA – Wo bhaag gaye, aur jab wo bhaag gaye mere ko smjh nhn aaaya ki main kya karoon , bhee lagi padi hai, kya kar sakta hoon. Ki salmaan khan ki movie toh hai nhn ki akela banda…

    NITIN – Dabang ban jaega, 

    JEETENDRA AJMERA- Na main koi dabang tha, normal sa ek baccha tha bas wo ek akkad thi andar, aur ek skill thi jaise maine kahaani ki shuruwaat mein kaha tha I could lie, I could lie flawlessly. Toh maina kaha ki pitna toh done hai aaj, toh ek aakhiri shot maar letein hain kya pata bach jaaein. Toh maine kaha yaar sun bhai, yaar aaj toh tu mujhe maar lega, tu Shanky bhaiya ko jaanta hai kya? Wo Rajasthan elections mein bhi jeete the university mein, aur unke cut wut bhi hai yahan pe, wo main ekdum unka khaas hoon. Toh aaj mereko maarlega, wo kal toh yahi aeega na, wo kal tujhe aake dekhleinge, pata nhn maine use kya bola, kis tareeke se bola aur wo maan gaya aur usne mereko nhn maara. Just for your information, I am getting clear on it, Shanky bhaiya koi nhn hain. It’s just a name. Ye baat hogi 2012 ki kuch.

    Ab meri zindagi se paanch saal nikaal dete hain, paanch saal cut-shot kar detein hain 2017 pe aajatein hain. Ye baat bhool chuka tha main, iska aage koi relevance nhn tha ye wahi ke wahi dab gayi thi, ab meri zindagi uske baad bahot badal gayi thi, main college mein aagya. Ab kya hua 2017 mein school mein Alumni meet ups hue the. Jab Alumni meet ups hue the tab, aur humko bulaya tha, toh main kya bahot din ho gaye the teachers se nhn mile the, chalo zara jaldi chal lete hain adha ghanta na. Toh wahan humara daily adda hota tha, jahan hum baithe the, toh wahi wo ladaaiyan bhi hoti thi. Toh maine socha ki chai pee leta hoon thodi der, aur fir kisi dost ka wait kar raha tha aur usi ke saath andar jaane ka man tha. Jab tak dost nhn aaya, jahan main chai pee raha tha usi dairy pe, 3-4 logon ka crowd baitha tha, aur wo kuch lad rahe the aur shayad 16-17 saal ke hi the. Mereko laga acha aaj tak bhi hota hai kya ye? chalo badhiya hai! Legacy abhi tak chal rahi hai! Toh I just wanted to overhear some conversations, ki humare time pe ye hua karta tha aur ab ye hota hai, I was very curious. And us din meri zindagi mein alag sa revelation hua, maine na ek naam suna us conversation mein aur wo naam tha Shanky bhaiya  ka.

    Aur jo mere saath abhi hua na, wahi mere saath tab hua, main respond hi nhn kar paaya is cheez pe main kya boloon is baat pe. Aur jo mera friend aaya tha alumni meet ke liye, maine use mana kar diya ki main nhn aaraha, main ghar jaa raha hoon. Ghar jaake soch raha tha ki kya hua meri zindagi mein mere saath ye abhi abhi na. Maine bahut socha, uske baad na 4-5 presumptions nikaale ki, ye-ye hai. Ab aap pe hai ki, aapko jo maana hai aap maaniye, mere ko bhi nhn pata kya sach hai. Pehla presumption, ki jo maine us time pe Shanky bhaiya ka naam liya tha na, kya pata shayad wo koi ho. Kyunki ek dum se zabaan pe naam aata nhn, hoga koi aadmi, famous hoga koi, kyunki maine kahin sunliya hoga, wahi maine bol diya hoga aur wahi ye baccha bol raha hoga. Ya phir iske Shanky bhaiya aur mere Shanky bhaiya bahot alag cheez thi. Maine toh ek jhooth bola tha, ye sach mein koi baat kar raha hoga. Ya phir maine jo kirdaar banaya thana, Shanky bhaiya, wo jee gaya, kya pata kisi ne adopt karliya ho, kya pata abhi koi alag wala Shanky bhaiya ho, kya pata jo maine kirdaar banaya ho kisis ne dekha hi nhn ho Shanky bhaiya ko, aur wo kirdaar zinda reh gaya ho, aur wo kirdaar chala aaraha ho. Ya phir ye baccha bhi aaj jhooth bol raha hoga, kya pata ye sab kuch ek co-incidence hai, aur kya pata ye poori kahani hi jhooth hai. Kya pata main aap logon ke saath abhi ek jhooth bol raha hoon, kyunki main abhi bhi jhooth bol sakta hoon. Iska jawab mere paas toh hai nhn but iska ant hai ki – 

    Zindagi mein aap agar kisi ko kuch takleef nhn pahucha rahe haina, toh ek khubsoorat jhooth banaiye apni zindagi ka, aur uspe sochco aur uspe din-raat kaam karo, aur wo ek din na, aur agar aap us khoobsarat jhooth ko sacchai se kaheinge na, toh wo khoobsurat jhooth na aapki sacchai ban jaega, kyunki wo mera bana hai. Aur jo jo jhooth maine tab kahe bole haina, aaj main us jhooth ko jee raha hai aur wo bahot khubsurat hain.  

    NITIN – So now I am confused about what I should say to Jeetu,  sach aur jhooth , jhooth aur sach ke beech mein wo kahaani hai…

    JEETENDRA AJMERA – Aisa hi kuch aisa hi keh lijiye, shayad kahani wo sach aur jhooth ke beech ka grey area hai

    NITIN – Aur usi mein zindagi jee jaata hai.

    JEETENDRA AJMERA – Ye jhooth aur sach ke beech mein hum ghoomte rehte hain, tiock-tickok-tickok, aur wahi kahaani ban jaati hai, aur kya pata tumko apni kahaani banani ho, aur wo jhooth aur sach ke beech mein hum wo grey area ko bridge bhi bana saktein hain. Hum pe hai ki hum aoni kahaani ko kaise banna chahte hain.

    NITIN – So it’s up to to you, how you want to make your own story.

    JEETENDRA AJMERA – That’s the message I want to give to all our listeners, that’s only up to you, how you want to craft your story, be it with any character, any situations, any spaces. 

    NITIN – So janta aapne Jeetu se suna ki kahani kya hoti hai, kahani kaise banti hai aur kahani kaise zindagiyaan banaati hai. Aap bhi apni khaaniyaan banaiye, thoda jhooth, thoda sach, lekin kahaaniyan zaroor banaiye. 

    So ye thi aaj ki baat, jald hi mileinge ek naye kirdaar ke saath. Agar aap bhi chahate hain karna  apne man ki baat, toh judiye humare saath, www.indibaat.com

    वो कहते है ना, बात करेंगे तो बात बनेगी.. .
    Indibaat : आपकी बात आपके साथ

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Latest Posts

    Don't Miss

    STAY IN TOUCH

    To be updated with all the latest news, offers and special announcements.