“There is one thing the photograph must contain, the humanity of the moment.” — Robert Frank
This podcast is about the story of Veenu, a photographer who talks about her perception and experience about photography. She says that it’s patience, correct framing and composition, knowledge of the light source and your point of view that defines a photograph. She talks about how she sees photography as an artistic manifestation of his or her thoughts and how this art has made her into a new person. The simplicity of taking a photograph leads many to ponder its artistic value, let’s listen to what Vennu has to say.
Transcript:
NITIN – Toh doston kehte hain ki one picture is more than a thousand words, aur jo passionately ek single image ko capture karne ke liye apni zindagi ka kaafi saara waqt laga detien hain toh ye humari Indibaat ki creator series hai jismein hum Jaipur Creative Commune ke creators ke saath hain, aur aaj humare saath mein hain Veenu.
VEENU – Hello Nitin, main ek photographer hoon, aur photography mera passion zyaada aur professon kam hai. Chaar saal pehle maine ye start kiya maine, 12 saal se mera profession glaas painting raha, uske baad maine multiple art forms maine kiye jaise, madhubani, mandala, aur ab last 4 years se main photogrpahy ki line mein hoon, jab mera beta bahar jaane waala tha, mere bete ne kaha ki mumma why dont you start photogrpahy, aap itni acha pictures click karte ho toh mujhe laga ki haan main ye kar sakti hoon. Toh maine ye photography ka course kiya and thats how i started photography. Apne dekhne ka ek nazariya tha, jo seekha hai wo nhn karna, usse hatke kuch karna hai, kyunki mujhe nazar kuch aur aaraha hota tha, aur jo sab dekh rahein hain mujhe wo nazar nhn aata tha, aur main usi nazariye se usi cheez ko click karti hoon. Mujhe jo cheez nazar aarahi hoti hai wo jab tak meri picture mein nhn aati tab tak main regular shots leti hoon, chaheusmein mujhe kitna bhi time lag jaae.
NITIN – Toh kuch aap aisi koi bhi aapki 2-3 picture hain jinki koi story ho aur aapke dimaag mein aaya ho lekin kaafi efforts ke baad mein aap wo capture kar paai?
VEENU – Haan mujhe yaad hai ki main Pushkar mein camel fair mein gayi thi aur maine wahan ladies ko dekha jo bada sa nath pehanti hain, aur achanak se mere dimaag mein thought aaya ki us nath ke andar se peeche waali female ko focus kiya jae. Toh nath bhi aaega out of focus aur wo female bhi aaegi in focus. Toh us shot ke liye particularly mujhe bahut efforts karne pade, kyunki wo lady us jagah pe kuch baat kar rahi thi kisis se aur mujhe batana nhn tha kisiko ki main wo shot le rahi hoon door se and I was waiting for that perfect moment ki peeche se ek female aaye aur main uski eyes pe focus kar sakoon. Aadha ghante ki mashakkat ke baad main wo shot le paai.
NITIN – Deffinitely jo huamre listners hain wo samjh paaeinge ki ek single shot dikhne mein logon ko kitna effort put karna padta hai ek photographer ko. Hota bhi hai ki hum deemag mein ek image bana letein hain aur use reality mein click karne ke liye kaafi efforts put katrte hain. Aur wo image jo humare dimaag mein hai wo click ho jaati hai aur us cheez ka koi comparison hi nhn hai.
VEENU – Kal ki hi baat kartein hain, parso holi thi, apni car mein nikal padi camera leke aur ek car mein bahut saare bacche holi khek rahe the aur mere dimaag mein ye khayaal tha ki koi ek paani ka bucket le aaye aur bus usko daale aur main capture karloon. But wahan sirf sookhih oli chal rahi thi gulal se sirf. Aur mujhe laga ki ye moment aaega aur jab peak pe holi pahunch jaaegi aur junoon aajaega logon mein toh uske baad wo moment aaega hi aaega. Aur takreeban 40-45 minutes wait karne ke baad wo moment aaya aur wk lady andar se blue color ka paani leke aayo aur bachon ke upar daaldiya, aur same moments pe maine picture nikaal liye.
NITIN – Kya baat! Gazab, toh kaafi log hain aajkal jo apne haath mein mobile rakhte hain aur unhein lagta hai ki wo log photographer ban gaye hain. Kaafi log hain jinhone photography koh as a passion use karna start kiya, pane instagram aur facebook ke page pe. But kahin na kahin main aise sochta hoon ki photography ek aisi cheez hoti hai jiske liye kaafi patience ki requirement hoti hai but jitna ease aur convenience aapko digital photography mein mil jaata hai, toh kahin na kahin aap wo patience loose kartein hain aur quality of photographs nhn click kar paateim hain. Toh aaj toh aap lakhon photos lelein toh koi farak nahi padta.
VEENU – pehle ke time mein, role mein sirf 36 photos hoti thi aur limited photos mein perfect shots nikaalne hote the, toh aadmi bhaut patiently kaam karta tha. Kyunki bande ko pata hota tha ki mere paas bas ek roll hai aur isiske andar mujhe saari pictures nikaalni hain. Aur ab toh digital world hai, toh koi dikkat nahi hai, is digital world mein, logon ka patience khatam ho gaya aur picture ki qualities kharaab ho rahi hai. Unko ab lagta hai ki khat khta click karli aur kuch bhi nikaal lo, picture toh dhang ki nikal hi aaeingi. But I think ki ab instead of quality of work, people focus on quality of work.
NITIN – Isi daur ke andar jo young log hain, jo log photography mien apne aap ko aage dekhna chahte hain, toh kuch agar aap apni tips ya experience share karein ?
VEENU – Sabse pehli cheez ki kis bhi picture ko kheechne se pehle aap uska composition frame kariye, jab aap uska composition frame kariye. Jab aap uska composition frame kar lete hain tab aapko pata hota hai ki aap kya kheechne waale hain, all of a sudden camera leke click karna jab aap start kar dete hain toh aapko proper pictures nhn mil paati. Uske liye aapko composition sochna padta hai. Wahan pe ek cheez hoti hai ki aapko on the spot kheechna hota hai. Jab hum nature photography kar rahe hotein hain, tab humare paas time hota hai ki hum dobara same picture bhi nikaal saktein hian. Aur jo log photographers nhn hain unhein rule of thirds nhn pata aur overall ache composition ko follow kartein hain. Doosri cheez hai light, jo sabse important factor hota hai kisi bhi picture mein. Light ki observation sabse important hoti hai, because source of light kahan se aaraha hai. Suppose aapka face right facing hai and source of light jab right side aaega toh aapka face bright aaega aur agar source of light left hai toh aapki bas sillouhete aaegi. But kayi baar dramatic pictures lene ke liye us cases mein hum face ko source of light le against rakhte hain. Toh ye depend karta hai ki aap kya kheech rahe ho, aur basically light ki knowledge bahut important hoti hai. Negative space se bhi perfect composition banta hai.
NITIN – Ye jo humari series hai usmein humne isko naam diya hai, ‘mera junoon, meri pehchaan’ aapko kya lagta hai ki photography as an art, as a passion kaise logon ko help kar sakti hai logon ko unke daily routine mein aur life mein.
Aaj ka working environment kaafi demanding hogaya hai, toh aise daur mein photography ko aap kahan dekhti hain, aur photography ne aapki life mein kya value add kari hai.
VEENU – Photography ne meri life mein bahut changes laayi, jab main start kiya toh main ghoomne lagi aur alag alag jagah pe jaane lagi, akele travel karne lagi. Mujhe kaafi dost mile aur jinke photographs click karti thi wo bhi. Toh spcial circle aapka bada ho jaata hai, aap akele travel karne lagte ho aur grow karne lagte ho. Opportunities ki kami nahi rehti aapke paas. Aap khud ko dhoond paate ho ki what you are? Aap khud ko samjh paate ho aur khud ko waqt dete ho. Aur doosri cheez ki jinki pictures aap click karte ho, unki pictures aap unse share karte ho, toh wo jo khushi hoti haina usse aapki khushi mein chaar chaand lag jaate hain.
NITIN – College ke daur ke andar photography ko main bhi as a passion ki tarah treat karta tha. I remember that college mein maine 10 lakh se zyaada photos click ki thi. Mere haath mein humesha camera rehta tha, aur wo jo photographs click ki yhi maine aur jo memories create hui thi, toh aaj bhi log un photos kjo yaad kartein hain, ajj bhi 12 saal ho gaye hain college ko khatam hue. Aur log aaj bhi yaad karte hai ki wo time yaad gaar islsiye hai kyunki wo jo photos thi jo tumne click ki thi, unko dekh ke aaj hum un memories ko jee letein hain. Photography is an art of freezing time, waqt ko freeze kar dete hain aur jab chahe jitni baar chahe un moments ko relive kar sakte hain. Aapki story kaafi inspiring lagi mujhe aur mujhe lagta hai ki people will use photography as a hobby as a passion to restore, reidentify themselves. Toh aap dher saari photos click karte rahiye aur un memories ko relive karte rahiye.
VEENU – Thank you Nitin!
NITIN – Indibaat ka agla adhyay hai sirf creators ke naam, bas jo man ko lagta tha acha, junoon inka, bana inki pehchaan. Baking, clicking, writing aur painting, sab mein chupe hain kuch na kuch rang, jo nikhareinge humare saath !
वो कहते है ना, बात करेंगे तो बात बनेगी.. .
Indibaat : आपकी बात आपके साथ