Passion, persistence and practice are the most important thing for an artist! Shweta believes in seeking and striving with all her heart. It’s the relationship of form, colour and creativity that shapes a piece of art. Shweta shares her passion for charcoal art and how she’s constantly spreading the art form by sharing it with people, teaching them and conducting workshops. Let’s listen to her podcast and know more about her learnings. She describes how she’s constantly evolving and learning more and more by sharing her kind of art. Let’s listen to her podcast in-depth!
Transcript:
NITIN – Toh doston log kehte hain ki many people perceive paintings the way they see and one picture can say a thousand stories. Today we have Shweta with us and let’s hear from her about what she has to say about this art of creating sketch and paintings.
SHWETA- Hi Nitin, meri journey bahut lambi hai aur maine bahut utaar chadhaav dekhein hain apni life mien. I am from a very small town aur jab se kaam start kiya hai whan pe kuch aisa atmosphere nhn mila kuch kaam karne ke liye exactly. Aur family mein koi bhi interested nahi tha ki main art field mein aage badhon. But mere andar junoon tha kaam karne ke liye, passion tha. I was a born artist aur shuru se andar se creativity nikalti thi har cheez ko leke, so mujhe feel hota tha ki mujhe artist banna hai aage jaake. So i started like, apni family se ladaai jhagde kiye ki mujhe is field mein jaana hai, then dheere dheere aage badhi aur apni city se bahar nikali, logon se mili aur kaam dhoonda aur phir samjh aaya ki art hota kya hai? Phir bahut alag profession mein thi aur main choreography field mein aayi, i was a professional photographer, main us field se art field mein aayi hoon. So it was a different aur bahut cheezein hui saath mein aur ab jaake i know ki mujhe art field mein hi rehna hai life long aur usi mein apna future aur career banan hai. Aur ek international level pe mujhe artist banana hai.
NITIN – Toh kuch childhood ki memories se share kijiye ki jab aap cheezon ko alag tareeke se perceive karti thi aur eo aap logon ke saath share akrna chahti thi but people were not able to get what you were looking at.
SHWETA – Toh hota kya tha ki main agar ghar mein khadi hoon toh main dance karti thi, main paint karti thi, main waals pe kuch na kuch banati rehti thi, mujhe samjhmein nhn aay aki mujhe artist banna hai. Main apni studies kar rahi thi saath mein aur dancing career mein chali gayi, but kabhi dance karte karte bhi main roz sketching karti thi ghar pe, but kisi ko interest nhn aata tha use dekhne mein aur samjhne mein. But mujhe lagta tha ki mujhe is field mein jaana hai, mere andar ek artist hai. But kuch moments aise aaye life mein jab mujhe pata laga uar logon ne bataya ki yes you have artist thoughts and aap aage badhoa ur kaam karo, then i went to Pune, and I have a diploma in charcoal art form, toh maine wahan do saal kaam seekha aur main waapas Jaipur shuft hogayi and yahan mujhe acha atmospehere mil raha hai kaam karne ka, toh I am enjoying. Aur main kaam kar rahi hoon aur seekh rahi hoon aur sikha rahi hoon ab aur usmein aur zyaada maza aaraha hai kaam karne mein. So ek zeal hai shuru se ki mujhe apni pehchaan khud banani hai aur apne parents ke naam se nhn jeena hai, mujhe apne naam se jeena hai toh uskeliye main kaam kar rahi hoon aur mehanat kar rahi hoon everyday.
NITIN – It’s difficult everyday to live upto the expectations that you are constantly working on. Kuch aapke areas of specialization ke baare mein aap bataaein, jaise ki aapne bataya ki jo French charcoal art hoti hai, aap uspe zyaada kaam karti hain. Toh please humein bataein ki kya hota haia aur kaise apne artforms create karti hain ?
SHWETA – Maine sabse pehle pencil sketching se start kiya tha apna kaam, jab mujhe much nhn aata tha aur main ghar pe kuch na kuch sketching karti rehti thi. Then I went to Pune, maine wahanse do saal ka charcoal art form mein, usmein black and white pencils hoti hain, hum unse painting create kartein aur kuch bhi portrait design karte hain, abstract designing kartein hain. Hum ek group exhibition kar chuke hain wahan Pune mein. Bal Gandharv ek bahut famous art gallery hai, uske baad ek Decopath French art hai, usmein main home decor mein kaam kar rahi hoon regular, aur yahan classes leti hoon aur khud bhi roz practise karti hoon, kyunki bina practise ke aap kaam nhn kar saktein hain. Because you need three things in art – the first thing is practise! The second thing is patience! And the third thing is persistence! Toh agar ye teeno cheez aapke saath hain, toh aap bahut achi tareeke se kaam kar sakte hain aur ek acha artist ban saktein hain. Mujhe roz kuch na kuch naya seekhna hota aur acha karna hota haiaur mujhe kagta hai ki abhi wo level set nhn hua hai. Aur kaafi kaam seekhna baaki hai, sikhaana baaki hai aur kaafi kaam karnas baaki hai. Aur 100 log aatein hain aapke paas aur wo log aapko bahot cheez sikha jaatein hain, everyday wo zeal jo hai wo khatam nhn ho rahi hai, wo badhti jaa rahi hai jitna main andar jaati jaa rahi hoon. So abhi main do artforms mein kaam akr rahi hoon, ek toh charcaol art aur doosra – Decopath french art.
NITIN – Divya jaise main dekh paa raha hoon ki aap seekhne mein bhi aur sikhaane mein bhi bahut passionate hain, toh kitna challenging hota hai logon ko artform sikhana, aur logon ki kya queries aati hain aap face karti hain. Students ke sath kaam karna aur commercially clients ke saath kaam karna, how do you deal with both the parts/
SHWETA – Aapke paas agar koi seekhne aa raha hai, pehle use samjhna ki wo kya seekhna chahta hai, uska haath kaisa hai, wo kaisa kaam kar raha hai, toh use samjhna difficult hota hai thoda sa aur uske saath kaam kartte karte pata chalta hai ki agle mein abhut talent bhara pada hai. Aur use bahar nikaalke laana, wo sabse bada challenge hota hai. Toh jab koi student mere paas aata hai, aur unka talent bahar nikalke aata haina wo unko bahut happiness deta hai. Toh wo bahut interesting cheez hoti hai, aur usse mujhe bhi bahut seekhne ko milta hai. Aur jab kisi client ke saath kaam kar rahe ho aap aur aapko kaam dena hai usko, aur uski expectation ko poora karna hai, toh wo hum regular basis pe kar rahe hain, toh uspe itna challenging nhn hota. But kisi ko sikhana bahot challenging hai !
NITIN – Aaj ke time mein jab kaafi log hain jo boltein hain ki they are not able to do the work-life balance aur kaafi technology field mein hain aur unki jo timing rehti hai toh they are not able to find their own hobby or interest jisse wo apni life ko balance kar paae. Toh is area mein aap kya kehna chahti hai ki people who are doing their full time jobs which are acquiring most of their time. So how is it important to have something related to art?
SHWETA – art ke liye aapko zeal honi zaroori hai, utsah hona zaroori hai, ki aap kisi cheez ko samjhna chahte hain, ki ye kyun ho raha hai aur kaise ho raha hai? Uske peeche kya feeling hai, use samjhna bahut zaroori hota hai toh woh I think mere liye toh ye God gift hai, ye cheez mujhe pehchane mein bahut mehanat nhn karni padi aur mujhe aur meri ye responsibility thi ki mujhe ye waste nhn karna hai. When i was 27 years old I didnt know ki mujhe kis field mein jaana hai aur main search hi kar rahi thi ki mujhe apni life mein kya karna hai, but jab main is field mein aagayi tab mujhe yahi laga ki lifelong mujhe isi field mein kaam akrna hai. But tab tak mere liye difficult tha ki main kya karoon, mujhe karn akya hai? Toh kitni baar hota hai ki mujhe samjh nhn aata hai life mein, aur wo cheez mujhe kich nhn karti hai, but koi koi moment aat ahai life mein jab aapko kick kar jaata hai life mein aur aapko pata chal jaata hai, ki aapko isi field mein kaam karna hai aur aap isi cheez ke liye bane ho. Toh ye kick aana zaroori hai, aur logon ko pata chalna zaroori hai ki unko apni life mein kya karna hai. Aur art ke liye aapko passionate hona padega, aur tab aap ek ache artist ban sakte ho is field mein. Main subah se shaam tak isi field mein lagi rehti hoon, main kaam karti rehti hoon aur sabkuch bhool jaati hoon, aur tabhi ek art piece ready kar paati hoon.
NITIN – Ho sakta hai ki art ek medidtatioon ki tarah hai, jis tareeke se aapki body ko balance karne ke liye, daily aapko exercise karne ki zaroorrat hai, usi tareeke se agar aap apne mind ko peaceful ya balance rakhna chahte hain, toh koi bhi ek art form hai, wo kuch bhi ho sakta hai, fine art ya pottery jo sakta hai, agart aap use zeal se kareinge toh it will increase the efficiency of your work. Thank you so much Shweta for being with us, I hope ki aapki story ke saath humare viewers kaafi relevant feel kar paaeinge, aur unke junoon ko, unke passion ko ignite karne mein help karegi. Thank you so much Shweta
SHWETA – Most welcome!
NITIN – Indibaat ka agla adhyay hai sirf creators ke naam, bas jo man ko lagta tha acha, junoon inka, bana inki pehchaan. Baking, clicking, writing aur painting, sab mein chupe hain kuch na kuch rang, jo nikhareinge humare saath !
वो कहते है ना, बात करेंगे तो बात बनेगी.. .
Indibaat : आपकी बात आपके साथ