Wednesday, April 24, 2024
More

    Indibaat | E016 # Energy of Creation by Surabhi Surana बात सुरभि के साथ

    In this podcast, Surbhi talks about how art gave her mastery over calmness and increased her self confidence. She talks about her journey of change of profession to an animation one, and how in the process of learning she discovered an altogether new area of interest. Art – no matter whether you choose to create it yourself or simply observe and enjoy it – is a relaxing and inspiring activity. Surbhi talks about how art made her into a better person altogether. She also talks about how important is the support of family in this transformation, let’s listen closely to what she has to say!

    Transcript:

    NITIN – toh doston is baar, Indibaat ke naye adhyay ki baat shuru ho rahi hai, ye adhyay hai creators ke naam. Kaafi saare humare yahan hidden talents hain, jo bas cheezein kar rahe hain aur hum unke baare mein nhn jaante, aur kuch aise bhi hain, jinhonein apne passion ko visible karne ke liye kaafi hardwork bhi kiya aur aaj unka jo junoon hai wahi unki pehchaan hai. So isi kadi ki shuruaat mein humare saath mein hain Surbhi. Toh Surbhi, baatein apne baare mein. 

    SURBHI – Hi Nitin, aaj ka mera bilkul bhi aisa nhn tha ki main kabhi bhi artist banoongi, parents mere doctor hain toh kisi ne mujhe force nhn kiya tha ki aap science lo aur us field mein jaao, but automatically mahual aisa tha ki maine science hi liya, aur maine engineering ki. Mere saath aisa ho raha tha ki, programming mujhe bahut bekkar si lagti thi aur peeche baithke main bas cartoon banati thi. Toh while wo karte karte, meri jo programaing ke sir the, he told me why are you in this field ? tum kyun engineering kar rahi ho ?

    Toh that was my third year, so complete toh mujhe karni hi hai engineering. But ek option mujhe humesha se rakhna tha ki main kuch aur bhi karungi is field mein, but I went with the flow and maine enhgineering karli aur I joined a job. But luckily aisa hua ki jahan maine job join kari thi, wahan pe flash designing hoti thi, and that’s how i got introduced to art!

    And uske pehle maine door door tak koi art ki cheez nhn dekhi thi, toh jab maine pehli baar flash designing dekhi aur animation dekha toh I got very much interested and maine wahi se jump kiya. Toh while working maine saath saath mein sabhi seekha, animation, designing, aur maine job switxch karli aur kisi tarah se main animation field mein aagayi, art field mein aagayi. Kaafi saal tak maine job kari aur uske baad aisa hua ki main Bombay se Jaipur shift hogayi. Aur yaha aake maine conceive kar liya and i was starting a family. Aur mere paas us time pe aisa work culture nahi tha ki maine 10 ghante job jaaungi. Toh art wali cheez mujhe andar se tang kar rahi thi, ki mujhe kuch toh karna hai, aur agar 10 ghante nhn kar sakti toh chalo 2 ghante hi karna hai. Din mein nhn ho sakta toh chalo raat mein toh ho kaam karna hai. Toh aise kar akr ke maine canvas aur colors laake painting banana start kiya. Kuch kuch paintings main college time mein aur main logo ko gift kardeti thi, I wasn’t serious about it. 

    NITIN – toh kis topics ya subjects ke upar aap paint karna pasand karti hain.

    SURBHI – toh zyada tar nature ki hi zyaada paintings rehti hain, jaise flowers, forests aur God hi mere subject rehte hain. Inspiration toh mujhe internet se mil jaata hai, but ye cheez mujhe bahot please feel karwaati hai. 

    NITIN – Main bhi aapke saath apna ek experience share karta hoon, toh mere saath bhi higher secondary mein, physics aur chemistry ke saath, art extra subject thi, aur main jaanta hoon ki bahot unique combination hota hai ye. Jab aap technical background mein hai aur saath mein ek artistic ya creative cheezhai jiske saath aap inclined hain. Toh mere sir humesha kaha karte the ki jab aap nature se judte hain, nature aapse judti hai. Artist logo ke saath hum ye dekh paate hain ki jo observation power they have is very different. Because when we silently connect with nature, toh unka jo kaam hai, us kaam ke andar wo reflection nazar aata hai. Toh aap kuch aisi baatein share akreingi ki jabse aapne painting karna start kiya toh usse aapki personality ke andafr kya change aaya ? 

    SURBHI – Sabse bada change jo maine notice kiya wo hai ki main bahut calm ho gayi comparitively, wo jo ek cheez thi ki mujhe ye karni hai toh wo mujhe bahut irritaion sa rehta ki, maine apne haath baandhe hue hain. Toh from the day i started, uske baad se i started to peace and i was happy ki main wo cheez kar paa rahi hoon. Toh uska benifit kya hone wala hai ? kisko acha lagega, main kaise karoongi, wo sab cheezein mere mind nein toh aati nhn thi. Jaise time milta, jahan par bhi milta, main kaam karleti thi thoda bahut. Colors se related painting banaleti, kuch table design karliya & i was happy. Toh sabse bada change yahi aaya mere andar. 

    NITIN – toh ek cheez ko aksar main logon se baat karta hoon aur samjhne ki koshish karta hoon, toh aapke liye aapka passion aur profession ek hai ya nhn hai ?

    SURBHI – Main aise nhn keh sakti ki financially mujhe ye kaise help karne waala hai, profession maine ye choose toh karliya hai, par ye utna hi mujhe fonancial help dega ya nhn, ye mera concern nhn hai. Aisa nhn hai ki ye mera concern nhn hai ki mere paas bahut paise hon, ya phir main bahut financially settled hoon, ki araam se apna main passion follow kar sakti hoon main, wo waali baat nhn hai. Main is cheez ko chod nhn sakti, wo desire waali baat hi ho gayi hai ki mujhe ye karna hi hai! Toh financially stable ho jayega toh sahi baat hai, warna phir bhi ab yahi mera profession hai.

    NITIN – shayad passion hi wo cheez hoti hai jo saari ko lines ko cross karne ke liye encourage karti hai.

    SURBHI – If you are driven, aapko aise man zaroor karta hoga ki main ye waali job karloon, 10-6 waali toh shayad better ho jaaega, lekin i will loose my mental piece, I don’t want to loose it gain.

    NITIN – Aapki family ka kya opinion hai aapke passion ke baare mein?

    SURBHI – Earlier they were like ki hobby waali baat hai, ki karlo, but khaali wo log hi aise soch rahe the ki hobby waali baat hai, baaki sablogon ko yahi lag raha tha ki itna acha kar sakti hai, agar tu raat ko 10 baje shuru karti hai aur raat ke 2 baje tak kaam karti hai and you are doing it really good, so why are you not pursuing it? And later even they thought ki haan yaar ye toh bahut acha kar rahi hai, aur humne usko aisi tarah se dekha nhn aur family background aisa nhn tha. Now they are like, apna art gallery open karo tum aur apni exhibitions aur workshops put up karo tum. Toh everybody is supporting me.

    What i wanted to share with you all mere jo father-in-law hain, unhonein mujhe bahut push kiya, jab unhone mera pehli baar sketch dekha tha, ek rough sketch main table pe baithke bana rahi thi toh boltein hain ki tumhara haath itna acha hai painting mein, mujhe iska idea nhn tha. Toh kyun nhn pursue karti ho tum and he kept pushing me jabse maine start nhn kiya and once i started mere aur mere father in law, they really pushed me ki kuch banao jab time mile thoda sa toh kuch create karo. So they really helped and pushed me.

    NITIN – aapke saath main ek aur cheez share karta hoon , jo mera personal experience hai, aap agar 2000 ke kids ki baat kareinge toh aisa hi hota hai ki jisne maths li hai use engineer banna hai, jisne science ya bio li hai use doctor banna hai. Main bahut dedication se karta tha fine arts, toh mere father mujhe bolte the ki mera beta kya bada hoke painter banega? 

    But abhi bahut change aa gaya hai, parents bahut inquisitive hain apne bacchon ko ek holistic learning dene ke liye, aur wo kisi cheez ke liye apne bacchon ko nhn rokte.

    SURBHI – Back then it was like, doctor and engineer ? But ab arts ko aisa nahi lete ki aap is profession ko choose karoge.

    NITIN – Aajkal 3 idiots jaisi film ban rahi hai aur bacche zyaada bole bina apne parents ko bas film dikhatein hai aur dekho engineer bana toh acha engineer nhn bana. Bahot khoob surbhi aap jo bhi kar raho hain , aap use truly kar rahi hai, usko leke passionate hain, aur ek waqt ke baad aapka jo passion ahi wo aapka junoon ban jaata hai, aur wo junoon aapko zinda rakhta hai. Aur ye cheez agar aapse kisi ne leli toh aapko lagta hai ki theres nothing more to do, nothing meaningful to do in the life. Kuch aap kehna chaeingi jo bhi log hain, wo apne passion ko evolve nhn karte aur supress kar dete hain because of XYZ circumstances?

    SURBHI – Mujhe aisa lagta hai ki jab aap phir poore tareeke se jee nhn rahe apni life ko, atleast ek baar agart aap try nhn karoge toh aapko pata nhn chalega ki ye cheez kitni badi khushi de sakti hai aapki life ko. Aur ultimate happiness and bliss wali feeling nhn aapaegi jab tak aap apne passion ko supress karte rahoge. Toh mujhe lagta hai ki aapka jo bhi passion hai,  kuch bhi ho, anything, aapko usko zaroor try karke dekhna chahiye, shayad wo aapko profession ke saath aur responsibilities hon toh aap meri tarah karo, raat ke 10 baje karo par karna zaroor chahiye. 

    NITIN – Agar aap apne passion ko zinda nhn rakheinge toh aapka passion aapko kaise support karega. Thank you so much Surbhi for being with us and I really feel that whatever you have learned and shared will inspire many others and aapki paintings maine dekhi hai, they are truly amazing, aap in paintings ke saath mein, naye subjects pe kaam karein aur unko aur evolve karein. Aur kaafi saare log hain jo aapke jaise kaam kar rahe hain, community isi tarah se banti hai, aur jab community mein hum kaam kartein hain toh hum ek doosre ke saath mein apni skills share kartein hain. Thank you so much Surbhi for being with us !

    Indibaat ka agla adhyay hai sirf creators ke naam, bas jo man ko lagta tha acha, junoon inka, bana inki pehchaan. Baking, clicking, writing aur painting, sab mein chupe hain kuch na kuch rang, jo nikhareinge humare saath!

    वो कहते है ना, बात करेंगे तो बात बनेगी.. .
    Indibaat : आपकी बात आपके साथ

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Latest Posts

    Don't Miss

    STAY IN TOUCH

    To be updated with all the latest news, offers and special announcements.